Written by a friend phillosopher and guide, Anuj Bhandari. This is a peice of litereature that i totally fell in love with when i heard it the second time. The first time i only understood half the words.
Guzar jaati hai hazaron ki jindagi
aapki zulfon ko sulajhte huae dekhne mai.
baith kar roop ki machaanon pe
sun kahan paate ho
un guzarti hui fariyadon ko.
door se baith ke dekhti ho
apne aashikon ke janazon ko
aur poochti ho ki .... hua kya hai?
ujad gae maekhane saakhi ke intazar mai
aur toote huae pyalon ko dekh ke
poochti ho ki ...... hua kya hai ?
Jaala diye hamne apne aarmanon ki tasveeron ko
aur bujhte hui aag to dekh ke
poochti ho ki ..... hua kya hai?
raat bhar aati ho tasavur mai
aur doondhlai hui aakon ko dekh ke savare
poochti ho ki .... hua kya hai?
sanjidgi aa gai hai ab to muskurahat mai bhi
aur hamari khamoshi ko sun ke
poochti ho ki ... hua kya hai?
tum poochti thi tou haale dil bayan karne ki
Himmat si jut ti thi
Ab to sara zamana poochta hai ki .. Hua Kya hai?
detae hai jawab tumhare in nadan sawalon ka
Karte hai mohobat, dil ki gehriyon se zaada
agar shak hai to lelo intihan hamari chahaton ka
magar bas ab na poochna ki ... hua kya hai?
Anuj Bhandari
No comments:
Post a Comment